dil ki chhoto ne kabhi chain se rehne na diya
jab chali sard hawa manie tujhe yaad kiya
iska rona nahi ke kyu tumne kiya dil barbad
iska rona hai ke bahut der me barbad kiya
Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi
mere nagmat ko andaz-e-nawa yaad nahi
zindagi jabr-e-musalsal ki terah kaati hai
jaane kis jurm ki payi hai saza yaad nahi
maine palko.n se dar-e-yaar pe dastak di hai
main woh saahil hoo.n jise koi sada yaad nahi
aao ik sazda kare.n aalam-e-madhoshi me
log kahte hai ke "sagar" ko khuda yaad nahi

No comments:
Post a Comment