look

Monday, January 31, 2011

ab to is tarah meri aankhon mein by ghulam ali

ab to is tarah meri aankhon mein khaab aate hain
jis tarah aayeene cheharon ko taras jaate hain

ehatiyaat ahal-e-mohabbat ke isi shahar ke log
gul-ba-dast aate hain aur kwaabaa-rasan jaate hain

jaise tazabeez-e-taalluq ki bhi rut ho koi
zakm bharate hain to ahabaab bhi a jaate hain

har kadi raat ke baad aisi qayaamat guzari
subaho ka zikr bhi aaye to laraz jaate hain

No comments:

Post a Comment